bhid hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen aa mere dil mere gham-khwar kahin aur chalen koi khidki nahin khulti kisi baghiche mein sans lena bhi hai dushwar kahin aur chalen tu bhi maghmum hai main bhi hun bahut afsurda donon is dukh se hain do-chaar kahin aur chalen dhundte hain koi sarsabz kushada si faza waqt ki dhund ke us par kahin aur chalen ye jo phulon se bhara shahr hua karta tha us ke manzar hain dil-azar kahin aur chalen aise hangama-e-mahshar mein to dam ghutta hai baaten kuchh karni hain is bar kahin aur chalen