chand yaaden hain baam-o-dar ke siwa zehn mein kuchh nahin khandar ke siwa sar bahut the jahan-e-fani mein dar na tha koi tere dar ke siwa sab saqifa mein nazr kar aae apni tarikh ko nazar ke siwa sar mein sauda tha tik ke baith rahen pair mein kuchh na tha safar ke siwa ek shahr-e-khatar se aage bhi kuchh na tha shahr-e-pur-khatar ke siwa har bade shahr ke makanon mein aarzu kuchh nahin hai ghar ke siwa chaliye sab tark kar diya hum ne ek tamanna-e-mukhtasar ke siwa main bhi hun aab-o-khak ka putla kya hai duniya bhi bahr-o-bar ke siwa tum samajhte the qafila jis ko bas wahan hum the dida-war ke siwa anjuman ka guman tha jis pe wahan tha wo kaun ek do nafar ke siwa aankh ke khol mein samata kya ek insan ki nazar ke siwa guftugu der tak rahi lekin kuchh na thi baat agar magar ke siwa wahan amboh-e-gham mein kaun na tha sab hi the ek ham-safar ke siwa yun to manzil bhi thi irada bhi samne sab tha ek dagar ke siwa rah-rau sab qadam qadam chhute nahin ab koi rahbar ke siwa main hun baqi lute hue ghar mein kya mila un ko mal-o-zar ke siwa