chandni chhiTki hui ho to ghazal hoti hai

chandni chhitki hui ho to ghazal hoti hai
jal-pari pas khadi ho to ghazal hoti hai

dil-nashin koi nazara koi dilkash manzar
baat dilchasp koi ho to ghazal hoti hai

ya kisi dard mein dubi hui aawaz-e-nahif
ya koi chikh suni ho to ghazal hoti hai

shairi nam hai ehsas ke lau pane ka
aag si dil mein dabi ho to ghazal hoti hai

koi khilta hua chehra koi ghuncha koi phul
aankh sairab hui ho to ghazal hoti hai

darmiyan aap ke mere koi hail ho jae
koi diwar khadi ho to ghazal hoti hai

koi jiddat koi nudrat koi pakiza khayal
han koi baat nai ho to ghazal hoti hai

pahle shair ko mile zehn-e-rasa qalb-gudaz
phir wo lafzon ka dhani ho to ghazal hoti hai

aam haalat mein hoti nahin ai 'taj' ghazal
kuchh na kuchh dard-sari ho to ghazal hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close