tasawwuraat mein wo zoom kar raha tha mujhe

tasawwuraat mein wo zoom kar raha tha mujhe
bahut shadid tawajjoh ka samna tha mujhe

chamak raha tha main suraj ke misl is liye dost
kahin pe ja ke andhere mein dubna tha mujhe

mujhe wahan se udasi bula rahi thi aaj
jahan se sham-o-sahar koi dekhta tha mujhe

phir us ko ja ke batana pada ghalat hai ye
samajhne wale ne kya kya samajh rakha tha mujhe

guzar na paya tha jo 'jaun-elia' se bhi
tumhaare baad wo lamha guzarna tha mujhe

lahuluhan hue ja rahe the har manzar
kisi ne waqt ke mathe pe yun likha tha mujhe

main apni nind agar tutne nahin deta
us ek khwab se har waqt tutna tha mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close