chandni jis ki dar-e-jaan pe hum aksar dekhen kabhi us chand ko bhi hath se chhu kar dekhen kaise bhar len dar-o-diwar pe aawezan hain jis taraf dekhen teri yaad ka manzar dekhen kabhi barish ki bhi raaton mein na chamki bijli yahi arman raha ghar ko munawwar dekhen aankh khul jae to sahra ki zamin par hon qadam nind aa jae to khwabon mein samundar dekhen tut jaane ka bhi imkan bahut hai is mein yun kamanon ki tarah aap na khinch kar dekhen sham hote hi nikal aate hain tare 'fakhir' ek sitare ka magar rasta shab-bhar dekhen