chandni mein saya-ha-e-kakh-o-ku mein ghumiye phir kisi ko chahne ki aarzu mein ghumiye shayad ek bhuli tamanna mitte mitte ji uthe aur bhi is jalwa-zar-e-rang-o-bu mein ghumiye ruh ke darbasta sannaton ko le kar apne sath hamhamati mahfilon ki hao-hu mein ghumiye kya khabar kis mod par mahjur yaaden aa milen ghumti rahon pe gard-e-arzu mein ghumiye zindagi ki rahaten milti nahin milti nahin zindagi ka zahr pi kar justuju mein ghumiye kunj-dauran ko nae ek zawiye se dekhiye jin khalaon mein nirale chand ghumen ghumiye