dil ne meri nahin suni tauba kya ajab hai ye be-dili tauba main ne khud ko nidhaal kar dala khush na aai ye aashiqi tauba qatl karte hain aadamiyat ka aise hote hain aadmi tauba wo jo rahti thi khandanon mein ab sharafat bhi mar gai tauba ek dariya ko pi liya hum ne phir bhi baqi hai tishnagi tauba be-khudi to zara ghanimat thi jaan-lewa hai aagahi tauba jite rahna tere tasawwur mein zindagi hai ki khud-kushi tauba daur-e-hangama-e-jahan se 'qamar' kaise guzregi zindagi tauba