chandni raat mein ek bar use dekha tha chand se bar-sar-e-paikar use dekha tha misl-e-khurshid numudar wo ab tak na hua aakhiri bar sar-e-ghaar use dekha tha main bhala kaise bayan karta sarapa us ka shab-e-yalda pas-e-diwar use dekha tha dil mein utri hi na thi raushni us manzar ki awwalin bar to bekar use dekha tha log kyun koh o bayaban mein use dhundte hain main ne to bar-sar-e-bazar use dekha tha us ne kya raat ko dekha tha ye malum nahin main ne to naqsh-ba-diwar use dekha tha us ki aankhon mein chamak khwab ki ye kaisi hai raat bhar charkh ne bedar use dekha tha