nala-bar-lab haram se nikalna pada ek dua mang kar hath malna pada rahguzar mein na tha aashna koi shakhs phir bhi har shakhs ke sath chalna pada kaisi shabnam kahan ke nasim-o-sahab apne shoale mein har gul ko jalna pada aadatan khizar ke sath duniya chali fitratan hum ko aage nikalna pada chalte chalte jahan 'shor' hum ruk gae apna rukh hadson ko badalna pada