chandni-raat mein sandal sa bikharta saya ek aaseb ki surat nazar aaya saya sar pe suraj hai magar hashr ka maidan nahin jaane kyun rah mein qadmon se hai uljha saya fard ki zat mein nadida nazare ki tarah sae ke sath tahalta nazar aaya saya ye bhi waraftagi-e-shauq mein hota hai guman abhi aaya hai mere pas mahakta saya ye wahi log hain jo din mein the mere jaise sham ke waqt nazar aate hain saya saya munjamid raushni phuti thi kisi chadar se main ne kal abr se chhanta hua dekha saya kal tak is saya-e-diwar mein dam milta tha zindagi lagti hai ab ek khandar ka saya