har ek haal mein chalne se jis ko kaam raha wo shakhs qaid-e-yaran-e-tez-gam raha safar alamat-e-hasti safar dalil-e-hayat khusha wo log safar jin ka na-tamam raha hayat-e-gul ka hayat-e-chaman hai paimana amar hai phul chaman ko agar dawam raha bayaz-e-mehr nigal kar bhi raat raat rahi siyahkar ka chehra siyah-fam raha hayat-o-maut ke sangam pe ji rahe hain hum hamara jashn-e-tarab bhi gham-iltizam raha zamana khud ko mukhatab samajh na le mera main apne aap se dar-asl ham-kalam raha ajib 'jafar'-e-farkhanda-jaan ka mashrab hai ki rind ho ke bhi khush-bakht nek-nam raha