chandni se bhi jal rahe hain log lamha lamha pighal rahe hain log jaane kya baat hai ki maqtal se munh chhupae nikal rahe hain log kaise pahchanun aashnaon ko apna chehra badal rahe hain log mangte hain qadam purani zamin kaise pani pe chal rahe hain log hum to barbaad hain murawwat mein aur sab phul phal rahe hain log hai ye taslim hum hain nazm-e-jadid mere purkhe ghazal rahe hain log hai ye 'jawed' aaj rasm-e-jahan munh se shoale ugal rahe hain log