nazar mein loch na haijaan manzaron mein hai uruh-e-subh abhi shab ki chadaron mein hai na soch tajwaron ka maal kya hoga ye dekh tesha-ba-kaf kaun pattharon mein hai bhadak rahi hain kinaron ki bastiyan ab tak bala ki aag hamare samundaron mein hai nigar-khana-e-mani se sarsari na guzar lahu ka rang bhi do-chaar manzaron mein hai sukut-e-sang ko aasaish-e-bayan de de ajab kamal-e-hunar aaina-garon mein hai gali ke mod pe kis ne diya jalaya tha usi key raushni tarik se gharon mein hai nigal na jaen use bhi ye kaj-kulah 'uruj' zara si aan jo baqi sukhnawaron mein hai