charagh-e-arzu hai aur main hun

charagh-e-arzu hai aur main hun
wafa ki justuju hai aur main hun

wo chup hai aur main khamosh lekin
ajab si guftugu hai aur main hun

falak ka shams to bas ek guman hai
mere dil ka lahu hai aur main hun

faqat do log hain sare jahan mein
ai mere yar tu hai aur main hun

bahut hi dur wo rahta hai phir bhi
nazar ke ru-ba-ru hai aur main hun

nahin hota wo gar hum bhi na hote
wahi to ku-ba-ku hai aur main hun

usi ka aks hai sare jahan mein
wo mere chaar su hai aur main hun

kahan tanha hun jiwan ke safar mein
ana hai zid hai khu hai aur main hun

mujhe lagta hai wo mere hi jaisa
koi to hu-ba-hu hai aur main hun

tumhaare ishq ke gulshan mein sahib
badi rangat hai bu hai aur main hun

safar hai 'sahiba' takhliq ka ye
ghazal ki aabru hai aur main hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close