dard ye dil ka hamein tang kiye rahta hai

dard ye dil ka hamein tang kiye rahta hai
koi khushbu ki tarah sang kiye rahta hai

hae kya khub musawwir hai wo upar wala
phul-patton pe kai rang kiye rahta hai

pyar se us ne banai hai ye pyari duniya
kyon ye insan magar jang kiye rahta hai

jis ki aahat se rag-e-jaan pe dhamak hoti hai
dil ki dhadkan ko wahi chang kiye rahta hai

us ke aane se shab-o-roz mahak uthte hain
sare aalam ko wo khush-rang kiye rahta hai

rang hai nur hai afshan hain charaghan sare
wo tasawwur ko bhi gul-rang kiye rahta hai

chhed deta hai wo jo saz-e-mohabbat 'rinki'
git ghazlon mein nae rang kiye rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close