charagh-e-dil jalane mein bahut hi der kar di hai

charagh-e-dil jalane mein bahut hi der kar di hai
suragh-e-dard pane mein bahut hi der kar di hai

harir-o-parniyan khushbu jadaw hath ke kangan
gul-o-lala sajaane mein bahut hi der kar di hai

kahin patthar na ho jaen meri ye muntazir aankhen
palat kar tum ne aane mein bahut hi der kar di hai

chalo kuchh mukhtasar kar den gham-o-alam ka qissa
tumhein hum ne bhulane mein bahut hi der kar di hai

junun be-bak ne sari hadon ko tod dala hai
khirad ne mat khane mein bahut hi der kar di hai

numu ki rut bahut muddat se tariki mein thahri hai
nae suraj ne aane mein bahut hi der kar di hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close