sans dar sans raegani mein

sans dar sans raegani mein
kat gai umr be-dhiyani mein

hujra-e-zat mein charagh jala
rah-numai thi rah-e-fani mein

main sunati thi dastan-e-tarab
dard hansta raha kahani mein

hain zaman-o-makan hijrat mein
aalam-e-hu ki la-makani mein

koi surat sambhal nahin pai
waqt ki be-karan rawani mein

baat be-baat hansti rahti thi
kitni gustakh thi jawani mein

bhid se dur baithi rahti hun
baat karti hun be-zabani mein

phir ye aawaz dub jaegi
jism ki be-nishan kahani mein

wo falak par nahin milega 'sahar'
chand kal gir gaya tha pani mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close