charagh-e-ishq jalta hai hamare qalb-e-viran mein chale aao abhi tak raushni hai is bayaban mein nahin ai dost in ashkon ka koi dekhne wala darakhshan hain jo anjum ki tarah chaak-e-gareban mein kuchh aise gham bhi hote hain jo ashkon mein nahin dhalte sharare ban ke lekin raqs karte hain rag-e-jaan mein banana tha jise mansur use dar-o-rasan bakhsha use yusuf banate hain jise rakhte hain zindan mein wo kashti aaj duba chahti hai pas sahil ke salamat ek muddat tak rahi jo bahr-e-tufan mein zamane mein faqat ek bebasi ka sath hota hai koi apna nahin hota kabhi haal-e-pareshan mein