basti tamam khwab ki viran ho gai yun khatm shab hui sahar aasan ho gai be-fikr ho gaya hun dil-o-jaan se is liye us ki nigah-e-naz nigahban ho gai hai martaba buland sitaron se ai falak mera nasib khak-e-khurasan ho gai shaffaf tha ye shisha-e-dil us ke samne bijli kadak ke aap hi hairan ho gai uljha hua tha ishq mein pahle hi na-murad nagah rukh pe zulf pareshan ho gai