charagh-e-khwab-e-shikasta ki lau hai maddham dekh kabhi to aa meri tanhaiyon ka aalam dekh jawaz dhund rahi hain kai nigahen yahan ye teri marzi hai tu chahe mujh ko kam-kam dekh hamare shahr mein sachchaiyan muqayyad hain yaqin na aae to chal aainon ka matam dekh abhi thahar ai janaza padhane wale shakhs badan ke malbe ke niche dabe hue gham dekh yahan bhi masala baiat ka hi raha hoga lahu mein dube hue hain hazaron parcham dekh yahan ke logon se ummid rakh wafaon ki yahan ek arse se badle nahin hain mausam dekh kabhi bhula to diya tha use magar 'afaq' palak jhapakte hi kyun aankh ho gai nam dekh