charagh-e-rahguzar hai jala rahega wo magar hawa ke liye masala rahega wo kahan hai hijr mein rahne ka tajraba us ko tamam umr dua mangta rahega wo jagah badalne se haiat kahan badalti hai jo aaina hai sada aaina rahega wo main us charagh ki lau ko khiraj de aaun jo bujh gaya to hamesha bujha rahega wo bahut hi dhup hai ab saeban bana 'mohsin' khud apne sae mein kab tak khada rahega wo