tumhein bataun ki kis mashghale se aai hai meri nazar mein chamak ratjage se aai hai khayal jaise hi aaya zara sa dam le lun to ek sada-e-jaras qafile se aai hai chamak rahi hai jabin naqsh-e-pa ki barakat se wo bil-yaqin tere raste se aai hai ye kya ajab hai ki mujh ko hi kuchh nahin malum jo meri baat tere waste se aai hai tum apne jism ki khushbu sambhaal kar rakhna ye bahki bahki sada aaine se aai hai bas itni zid thi musalla bichha ke pina hai palat ke meri ana mai-kade se aai hai jise bhulae zamana guzar chuka tha 'saba' usi ki yaad bade walwale se aai hai