charagh-e-sahari hun lekin abhi bujha bhi nahin

charagh-e-sahari hun lekin abhi bujha bhi nahin
ye kaise kah dun ki atraf mein hawa bhi nahin

ye aur baat ki milne mein ehtiyat kare
ajib shakhs hai zahir mein wo khafa bhi nahin

zaban mein chashni pai hai aisi zalim ne
wo sakht baat bhi kah de lage bura bhi nahin

wo milne ko to hamesha hi mujh se milta hai
ghurur-e-husn to dekho ki bolta bhi nahin

shab-e-firaq guzarun main kis tarah apni
falak pe chand sitaron ka qafila bhi nahin

jhinjhodta hai mujhe raat-din zamir mera
mere gunah ki duniya mein kya saza bhi nahin

main jaanta hun ki lahren mujhe dubo dengi
siwae is ke koi aur aasra bhi nahin

har ek shakhs ko aisa kahan saliqa mila
wo baat karta hai aisi ki kuchh kaha bhi nahin

main chal raha hun 'said' aise raste pe jahan
siwae dhup ke sar par kahin ghata bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close