aahista-khirami sahi aa jae to behtar aankhon mein koi mere sama jae to behtar aawara-nigahi use kyon dhund rahi hai jazba ye samajh mein meri aa jae to behtar ye mera safina hai kahan ja ke lagega bahta hua sahil koi aa jae to behtar charcha hai bahut husn ka us shakhs ke lekin wo ek jhalak apni dikha jae to behtar qissa na abhi chhed saba lala-o-gul ka wo jaan-e-bahaar aise mein aa jae to behtar