charagh-e-shahr se sham-e-dil-e-sahra jalana aur us ki lau se mahfil-e-khana-e-duniya jalana tamashe kya dikhata hai mera barud-e-hasti tumhein mujh ko jalana hai to phir zinda jalana bade suraj bane phirte ho tum ek raat aa kar zara mera charagh-e-mausam-e-sarma jalana use mujh se bas itna hi talluq hai ki har raat charagh-e-jism apna pesh-e-aina jalana chalo aankhon pe aankhen rakh ke hum ek sath rolen ye zid chhodo bahut ab ho gaya jalna jalana jo har bar apni khakistar se uth padta hai zinda to hum ne 'farhat-ehsas' ab tujhe chhoda jalana