hati zulf un ke chehre se magar aahista aahista ayan suraj hua waqt-e-sahar aahista aahista chatak kar di sada ghunche ne shakh-e-gul ki jumbish par ye gulshan hai zara baad-e-sahar aahista aahista qafas mein dekh kar bazu asir aapas mein kahte hain bahaar-e-gul tak aa jaenge par aahista aahista koi chhup jaega bimar-e-sham-e-hijr ka marna pahunch jaegi un tak bhi khabar aahista aahista gham-e-tabdili-e-gulshan kahan tak phir ye gulshan hai qafas bhi ho to ban jata hai ghar aahista aahista hamare baghban ne kah diya gulchin ke shikwe par nae ashjar bhi denge samar aahista aahista ilahi kaun sa waqt aa gaya bimar-e-furqat par ki uth kar chal diye sab chaara-gar aahista aahista na jaane kyun na aaya warna ab tak kab ka aa jata agar chalta wahan se nama-bar aahista aahista khafa bhi hain irada bhi hai shayad baat karne ka wo chal nikle hain mujh ko dekh kar aahista aahista jawani aa gai dil chhedne ki badh gain mashqen chalana aa gaya tir-e-nazar aahista aahista jise ab dekh kar ek jaan padti hai mohabbat mein yahi ban jaegi qatil nazar aahista aahista abhi tak yaad hai kal ki shab-e-gham aur tanhai phir is par chand ka dhalna 'qamar' aahista aahista