charagh-e-shauq lahu se jala diya hum ne ek aur qissa-e-wahshat suna diya hum ne jo mauj sar ko patakti rahi hai sahil se usi ko ru-kash-e-tufan bana diya hum ne nae jo ham-safar-e-kesh-e-ishq hain un ko maal-e-soz-e-mohabbat bana diya hum ne basan-e-khana-ba-doshan kai hai umr apni jahan qayam kiya ghar bana diya hum ne bujhi bujhi si rahe sham-e-arzu sar-e-bazm so raushni ke liye dil jala diya hum ne zamin-e-shor lagi dasht-e-arzu mein jahan wahin pe ishq ka pauda laga diya hum ne chale hain rah-guzar-e-shauq par hawa ki tarah jo aaya samne 'rahi' hata diya hum ne