jab nashat-e-alam nahin hota jam-e-jam jam-e-jam nahin hota jaane kyun teri be-rukhi se bhi dil ko ab koi gham nahin hota aa gaya hun tere huzur magar fasla phir bhi kam nahin hota wo masarrat talash karta hai jis ko irfan-e-gham nahin hota umr bhar tujh ko dekhne par bhi zauq-e-nazzara kam nahin hota kya kahun dil ko kya hua 'rifat' daman-e-chashm nam nahin hota