charagh-e-yaad ki lau ham-safar kahan tak hai ye raushni meri dahliz par kahan tak hai bas ek tum the ki jo dil ka haal jaante the so ab tumhein bhi hamari khabar kahan tak hai musafiran-e-junun gard ho gae lekin khula nahin ki teri rahguzar kahan tak hai har ek lamha badalti hui kahani mein hikayat-e-gham-e-dil mo'tabar kahan tak hai zamin ki aakhiri had par pahunch ke sochta hun yahan se mausam-e-diwar-o-dar kahan tak hai bichhadne walon ko andaza hi nahin hota tu ham-safar hai magar ham-safar kahan tak hai ajib log hain aazadiyon ke mare hue qafas mein puchhte phirte hain ghar kahan tak hai