yun sab kuchh dekh kar bhi dekhta koi nahin hai

yun sab kuchh dekh kar bhi dekhta koi nahin hai
so hum pe bolte hain bolta koi nahin hai

fareb-e-aina hai bas tamasha hai ye duniya
yahan par sab khuda hain aur khuda koi nahin hai

wo kis ki aag thi kis ne jalaya ghar hamara
ye sab hi jaante hain manta koi nahin hai

hawaen chand tare phul khushbu dasht dariya
ye sab ke sab hain tere aur mera koi nahin hai

main ghusl-e-aks karna chahta hun aaina do
ki mujh mein ab bhi main rahta hun ya koi nahin hai

chalo ab man lo ye duriyan khud-sakhta hain
wagarna dil se dil tak fasla koi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close