charagh ghar mein jala nahin hai ye raat ka masala nahin hai ye raat tum se nahin kategi ye hijr hai rat-jaga nahin hai dalil mantiq nahin chalegi ye ishq hai falsafa nahin hai ye ishq hai bandagi samajh mat tu aadmi hai khuda nahin hai hai ranj kyon haal-e-dil pe aakhir ye qissa tu ne suna nahin hai khud apne dushman hain log sare nahin koi dusra nahin hai hawa se lau tharthara gai thi charagh lekin bujha nahin hai