charagh se kabhi taron se raushni mange andheri raat bhi kis kis se zindagi mange jalane wale jalate hain nafraton ke charagh faza-e-waqt mohabbat ki raushni mange wo na-shanas-e-haqiqat hai is zamana mein wafa ko bhik samajh kar gali gali mange nishat-o-ranj muqaddar ki baat hoti hai kisi se gham na kisi se koi khushi mange har ek shakhs mein andaz-e-kaj-adai hai magar ye dil hai ki rah rah ke dosti mange jahan suron ki haqiqat na ho wahan pe 'guhar' jo koi mange to kya taj-e-khusrawi mange