charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de utar de chand us ke dar par siyah din mere ghar mein rakh de kahin kahin koi rabt-e-makhfi ibarat-e-muntashar mein rakh de gurez par hain nishan sare taraf bhi koi safar mein rakh de talab talab aaina-sifat hai kharab-o-khasta hain aks sare ye nekiyan bhi hain sar-barahna latafat-e-khair shar mein rakh de nashat-awar hai ye udasi ka ek udta hua sa lamha mabaada taq-e-raja ho viran sharara ek chashm-e-tar mein rakh de ye sarf-o-hasil-gazida duniya na din hi mere na meri raaten kahan talak dekhta hi jaun samaaten kuchh nazar mein rakh de mere khuda mere jism-o-jaan ke khuda mere hath jhad na jaen dua tah-e-sang-e-lab gadi hai asar zara sa asar mein rakh de badan hai ya qila-e-hawa hai kahin se aaun kahin se jaun hazaron rakhne pade hue hain utha ke diwar dar mein rakh de