charagh jab se mere tirgi se haar gae

charagh jab se mere tirgi se haar gae
hawa se hath milane ko sare yar gae

har ek bar safar mera mukhtasar kyun tha
safine mujh ko hi sahil pe kyun utar gae

teri sarae mein saman kahan sukun ka tha
kisi tarah se musafir bhi shab guzar gae

main jin ko sae mein rakhta tha tapte sahra mein
ghazab hai log wahi mujh pe sang mar gae

hui jo sham to laute watan mein apne hi
parinde yun to bahut sarhadon ke par gae

burida-sar hi nahin the lahu mein dube hue
suna hai neze adu ke bhi ashk-bar gae

badan pe sab ke qabaen thin surkh aankhon ki
ajab tarah se khizaon mein gul-e-ezar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close