bas yahi baat yahan harf-e-malamat ki hai

bas yahi baat yahan harf-e-malamat ki hai
main ne dariya ki nahin dasht ki baiat ki hai

qatl suraj ko kiya wo bhi chhupa kar khanjar
sham walon ne sahar mein ye siyasat ki hai

warna kya hum ko gharaz haal tumhaara puchhen
baat ye kuchh bhi nahin sirf mohabbat ki hai

hum to maujon se lade aur kinare pahunche
hum ne kab dubti kashti ki himayat ki hai

abhi dalan mein utre nahin shab ke sae
jaane wale ne suna ye hai ki ujlat ki hai

ab andhere hi andhere hain gali-kuchon mein
chand-taron ne mere shahr se hijrat ki hai

ye alag baat ki alfaz hain ab bhi raushan
tere khanjar ne to is bar bhi jurat ki hai

ab use dhundne nikli hain barahna yaaden
jis ne kaghaz ke libason ki tijarat ki hai

mere honton pe khamoshi ke pade hain tale
meri aankhon ne meri aaj bhi shohrat ki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close