charagh jal bhi raha hai hawa ka Dar bhi hai

charagh jal bhi raha hai hawa ka dar bhi hai
meri duaon pe lekin teri nazar bhi hai

gharon ko phunkne wale zara ye dekh bhi le
usi gali mein suna hai ki tera ghar bhi hai

main ghar se niklun to be-khauf ho nikalta hun
ki meri man ki dua meri ham-safar bhi hai

abhi se fitna-e-duniya se dar gae yaro
abhi to fitna-e-aflak ki khabar bhi hai

usi ke pyar se raushan hai zindagi meri
usi ke pyar se lekin bahut sa dar bhi hai

'nadim' aas mein baithe ki phir se ji utthen
ki us ke hath mein sunte hain ye hunar bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close