charagh jo bhi jala hai hawa ke sae mein sada raha hai farozan dua ke sae mein hamein mita na sakegi ye gardish-e-dauran azal se hum hain ata-e-khuda ke sae mein farogh-e-subh ka aalam hai wajh-e-mayusi ujale sahme hain kis baddua ke sae mein kabhi to hoga bahaaron ka is taraf ko nuzul khizan-rasida chaman hai hawa ke sae mein mili na tauba ki mohlat tamam umr kabhi hamari zindagi guzri khata ke sae mein hijab-e-nala-e-shab muntashir rahe kab tak khamoshiyan bhi nihan hain sada ke sae mein saubaton se gurezan ho kis liye ai 'zafar' wajud apna hai jab ki qaza ke sae mein