tujhko pa kar bhi gharq-e-yas mila

tujh ko pa kar bhi gharq-e-yas mila
dil hi kam-bakht na-sipas mila

husn-e-alam mein aur kya hota
husn-e-alam to tere pas mila

uf re jaldi adam se aane ki
jis ko dekha wo be-libas mila

hijr mein zikr-e-wasl-e-yar to chhed
talkhi-e-gham mein kuchh mithas mila

aa dikhaun tujhe bhi jalwa-e-dost
meri aankhon mein apni pyas mila

jis pe takiya hua muqaddar ka
wo sitara hi be-asas mila

baat ka izn-e-am tha 'ejaz'
par kise harf-e-iltimas mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close