charagh ki ot mein hai mehrab par sitara ruka hua hai abhi gul-e-khwab par sitara ye kis rawani mein dubti ja rahi hain aankhen chamak raha hai ye kyun rukh-e-ab par sitara ruki hui hai zamin pani ke mintaqe par thahar gaya hai nigah-e-betab par sitara kahin meri dhup ki hukumat hai aaine par jhuka hua hai kahin zar-e-ab par sitara muhit mein ghumte rahenge agar safine siyah padne lagega girdab par sitara suna tha is raat ke muqabil bhi aaina hai magar dikhai diya hai mahtab par sitara main hun kisi raat ki siyahi ka rizq lekin talash karta hun ru-e-ahbab par sitara