khwahish se kahin koi mahaul badalta hai dil shama ka jalta hai tab mom pighalta hai dekhen to charaghon ko ab kaun bujhaega taqon mein lahu apna har raat ko jalta hai socha hai ki kuchh din ko begana hi ban jaen hum apna jise samjhen begana nikalta hai ab sakht zarurat hai mai-khana badalne ki har lab ke liye saqi paimana badalta hai jis rah se wo guzren har gam bahaaran ho ek jism nahin chalta mahaul bhi chalta hai ai dost tere dar tak phaili hain kamin-gahen dil ek musafir hai girta hai sambhalta hai hum hijr mein jab jage thi raat bahut 'saifi' didar ka har mausam lamhat mein dhalta hai