charagh sabr ke jis ne jalae roya hai hawa se rabt-o-talluq badhae roya hai sulagte khwabon ki tabir ki banawat mein jo apni aankhen musalsal jagae roya hai yahi nahin ki parinde lahu bahate hain udas tanha shajar bhi to hae roya hai samajh lo pani se nisbat use rahi hogi jo canwas pe samundar banae roya hai main jaanti hun wo ek shakhs wasl ka mara parae hijr ka jo ranj uthae roya hai