charaghon ke bujhane ko hawa be-ikhtiyar aai gulabon ki mahak bikhri to aawaz-e-sharar aai bagulon ne safar mein aandhiyon ka aasman dekha magar ek fakhta apne shajar tak be-ghubar aai jise tu ne ujala jaan kar chehre pe likkha tha wahi shohrat teri ruswaiyon ke ham-kanar aai andheron mein mujhe khud ek sitara dhundne aaya ki shahr be-hunar se ek sada-e-e'tibar aai meri aankhon mein jitne rang the sab jal gae 'jazib' magar wo mujh se milne jab bhi aai be-qarar aai