na main haal-e-dil se ghafil na hun ashk-bar ab tak meri bebasi pe bhi hai mujhe ikhtiyar ab tak mere bagh-e-dil pe aakhir ye bahaar bhi sitam hai jo gulab hum ne boe wo hain khar-dar ab tak koi aas mujh ko roke teri justuju se kafir main agarche ho chuka tha kabhi sharmsar ab tak ye nasib hi nahin tha ki main apna haal ji lun main hun apni khastagi ka khudi sogwar ab tak jo bahae chand qatre jo sajae kuchh tabassum mujhe aisi ek khushi ka raha intizar ab tak ye ajib dastan hai mere be-niyaz dil ki jo use samajh na paya hai usi se pyar ab tak main kisi ke ashk pochhun to wo gham-gusar mera ye samajh ke dard dhoya main ne bar bar ab tak main kise kahun ai 'baaligh' mera gham-nawaz tu hai meri bekasi ka kis ko hua e'tibar ab tak