charaghon mein andhera hai andhere mein ujale hain hamare shahr mein kali hawa ne par nikale hain hamein shab katne ka fan wirasat mein mila hum ne kabhi patthar pakae hain kabhi sapne ubaale hain dilon mein khauf hai us ka nazar hai us ki rahmat par gunahgaron mein shamil hain magar allah wale hain lade the sath mil kar hum charaghon ke liye lekin hamare ghar andhere hain tumhaare ghar ujale hain tumhaari yaad se achchha nahin hota koi aalam mayassar jin ko ho jae badi taqdir wale hain mohabbat aakhiri hal hai hamare sab masail ka magar hum ne to nafrat ke sanpole dil mein pale hain bhadakti aag to do chaar din mein bujh gai thi 'badr' abhi tak shahr ke manzar na jaane kyun dhuanle hain