charkh bhi chhu len to jaana hai isi mitti mein mustaqil apna thikana hai isi mitti mein jin ke daman pe kabhi chand-sitare chamke dafan un ka bhi fasana hai isi mitti mein be-amal hath lagae bhi to khali jae han jafa-kash ka khazana hai isi mitti mein is tarah chal ki ye pamal na hone pae be-khabar aab hai dana hai isi mitti mein ham-watan khak-e-watan kyun na ho pyari ki hamein baad-az-marg bhi jaana hai isi mitti mein log kal kah ke tujhe yaad karenge 'akhlaq' shair-e-fakhr-e-zamana hai isi mitti mein