falak se chand chaman se gulab le aae kahan se koi tumhaara jawab le aae hazar rang hain husn-o-jamal ke lekin wo rang aur hai jis ko shabab le aae ajib turfa-tamasha hai zindagi meri khushi bhi aae to gham be-hisab le aae tere khamir mein shamil hai gumrahi warna falak se kitne payambar kitab le aae idhar wo tishna-labi hai ki jaan-ba-lab hain hum udhar wo dast-e-karam par sarab le aae usi ki aaj bhi rahti hain muntazir aankhen jo aa bhi jae to sad iztirab le aae ye sher-goi hai 'akhlaq' koi khel nahin kare wo mashq jo chhalni mein aab le aae