chashm-e-gardun phir tamazat apni barsane lagi phir zamin minna-kash-e-dariya nazar aane lagi phir jahan-e-taza ki hum justuju karne lage phir kharabe mein tabiat apni ghabrane lagi kya mayassar aa gaya mujh ko hawa ka iltifat ab meri aawaz shayad dur tak jaane lagi manzar-e-khush-rang se ukta ke aakhir ye nazar apni aawara-mizaji ki saza pane lagi phir kisi ke dar pe khushbu de rahi hai dastaken phir koi aahat mere kanon se takrane lagi