falak se chand sitaron se jam lena hai mujhe sahar se nai ek sham lena hai kise khabar ki farishte ghazal samajhte hain khuda ke samne kafir ka nam lena hai muamla hai tera badtarin dushman se mere aziz mohabbat se kaam lena hai mahakti zulfon se khushbu chamakti aankh se dhup shabon se jam-e-sahar ka salam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lahje mein sukhan se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main 'mir' ke dar par kabhi nahin jata mujhe khuda se ghazal ka kalam lena hai bade saliqe se noton mein us ko tulwa kar amir-e-shahr se ab intiqam lena hai