chashm-e-hairan ko tamasha-e-digar par rakkha aur is dil ko teri khair-khabar par rakkha ain-mumkin hai charaghon ko wo khatir mein na lae ghar ka ghar hum ne utha rahguzar par rakkha bojh se jhukne lagi shakh to ja kar hum ne aashiyane ko kisi aur shajar par rakkha chaman-e-dahr mein is tarah basar ki hum ne saya-e-gul ka bhi ehsan na sar par rakkha us ki aawaz pe bahar nikal aaya hun 'jamal' sara asbab-e-safar rah gaya ghar par rakkha