wo aadmi nahin hai mukammal bayan hai mathe pe us ke chot ka gahra nishan hai wo kar rahe hain ishq pe sanjida guftugu main kya bataun mera kahin aur dhyan hai saman kuchh nahin hai phate-haal hai magar jhole mein us ke pas koi sanwidhan hai us sar-phire ko yun nahin bahla sakenge aap wo aadmi naya hai magar sawdhan hai phisle jo us jagah to ludhakte chale gae hum ko pata nahin tha ki itni dhalan hai dekhe hain hum ne daur kai ab khabar nahin paon tale zamin hai ya aasman hai wo aadmi mila tha mujhe us ki baat se aisa laga ki wo bhi bahut be-zaban hai